Kadam badhaun yaa tham hi jaaun
Tu hi bata aye khuda
Khada hun kabse main darr pe tere
Karun mein ek iltija
Mauka de mujhe
Lauta de mujhe
Bina ilm ke, cheena tune
Mere jeene ki wajah
Bebas hun main
Maqsad hai kya mera?
Kya khoya kya paaya
Khud ke zakhmon ko jo na main bhar paya
Kya haara kya jeeta
Hai khuda gawah, iss marz ki tu dawah
Kasam main khaun, toh kiski khaun
Tu hi hai bewafa
Tere hawale, sawaal saare
Bharosa uth gaya
Maula Deva Isha ya Rab
Jo bhi naam hai tera, zara gaur toh kar
Bina ilm ke, cheena tune
Mere jeene ki wajah
Bebas hun main
Maqsad hai kya mera?
Kya khoya kya paaya
Khud ke zakhmon ko jo na main bhar paya
Kya haara kya jeeta
Hai khuda gawah, iss marz ki tu dawah
Hai khuda gawah, bin tere kya jeena