Kal agar main na hun
Mujhe palkon par baithna
Meri baaton ko dohrah kar, thoda
Hasna hasaana
Mujhe bhool na jaana
Mujhe bhool na jaana
Mujhe bhool na jaana
Mujhe bhool na jaana
Tu saans leta toh main bhi saansein lun
Tu khil ke hans de toh tere sang hansun
Tere jeete jee main humesha rahoon
Tere aas paas
Mere rooh ka tukda tujhmein baaki hai
Mera khoon abh bhi tujhmein kaafi hai
Teri ragon mein hai mera wajood
Hamesha zinda
Dil mein hai tere jo
Woh sab kuch kar jana
Naye sapne dekho, toh
Mujhe bhi batana
Mujhe bhool na jaana
Mujhe bhool na jaana
Ek din tera bhi, hoga
Chota aashiyana
Apne bachon ko bhi
Meri tasveer dikhana
Mere kisse sunana
Dekho bhool na jaana
Kuch ban jao tum toh
Mujhe bhool na jaana
Tere peeche hi khada hun main
Teri yaadon se juda hun main
Yaad meri jab aye toh
Mera naam dohrana
Tere peeche hi khada hun main