Choose a track to play
Baawra mann mera, Dhoodhta hai tujhe
Tu gayi hai kahan yeh pata hai ise
Kya kahun yeh kaha maanta hi nahi
Har ghadi bewajah poochta hai tujhe
Wo gali aaj kyun dhundhla si gayi
Tu nahi hai to kya, teri aawaaz hi
Uun bulaati rahe shaam ko paas mein
Jaise ho daat fir se laga tu rahi
Baawra mann mera dhoondhta hai tujhe
Phir milenge pata hai nahi kya ise
Maana kam thi hui baat is baar par
Likh rakhin hain jo baatein kahunga use
Kal hua jo bhi yaa, baat ho aaj ki
Ho sabhi ko khabar Chaahe hon raaz ki
Kaise kaate the pal bin tere, yaa kahun
Tha wo kaisa safar fir mulaaqaat ki
Baawra mann mera, Dhoodhta hai tujhe
Tu gayi hai kahan yeh pata hai ise
Kya kahun yeh kaha maanta hi nahi
Har ghadi bewajah poochta hai tujhe
Wo hansi saath ki
Loriyaan raat ki
Ankahi baatein bhi reh gayin
Paas thi tu magar
Kyun na jaane nazar
Khwaab ko taakti reh gayin