Choose a track to play
Single / Track
Tujhko main rakh loon wahan
Jahan pe kahin hai mera yaqeen
Main jo tera na hua
Kisi ka nahin, kisi ka nahin
Le jaayein jaane kahan hawayein, hawayein
Le jaayein tujhe kahan hawayein, hawayein?
Begani hain yeh baaghi hawayein, hawayein
Le jaayein mujhe kahan hawayein, hawayein?
Le jaayein jaane kahan
Na mujhko khabar, na tujhko pata
Banaati hain jo tu
Woh yaadein jaane sang mere kab tak chalein
Inhin mein toh meri
Subah bhi dhale, shaamein dhalein, mausam dhalein
Khayaalon ka sheher
Tu jaane tere hone se hi aabaad hai
Hawayein haq mein
Wohi hain aate-jaate jo tera naam lein
Deti hain jo sadayein hawayein, hawayein
Na jaane kya batayein hawayein, hawayein
Le jaayein tujhe kahan hawayein, hawayein?
Le jaayein mujhe kahan hawayein, hawayein?
Le jaayein jaane kahan
Na mujhko khabar, na tujhko pata