Elige una pista para reproducir
O priya...
O priya, jaane kaisa bheega, bheega, bheega
Hai sama naya-naya
Priye, bata zara (bata zara)
Lage kyun sab naya-naya? O, priya
Purab ki pehli tu mehki hawa hai
Saawan ki pehli tu chanchal ghata hai
Meri kalpana ki tu pehli hai kavita
Hai sabse nirali tu hi prem sarita
Jharna bhi jhar, jhar, jhar
Beh raha naya-naya
Priye, bata zara (bata zara)
Lage kyun sab naya-naya? O, priya
Thandi hawaein, sama hai suhana
Gazab hai yeh tera nigahein milana
Behki fizaein, hua dil deewana
Mera khud-ba-khud ho tere paas aana
Jaadu kaisa dheere, dheere, dheere
Chha raha naya-naya
Priye, bata zara (bata zara)
Lage kyun sab naya-naya? (O, piya)
Jaane kaisa bheega, bheega, bheega
Hai sama naya-naya
Priye, bata zara (bata zara)
Lage kyun sab naya-naya? (O, piya) o, priya