Elige una pista para reproducir
Me dekhu tumhay raat ki chandni me
Yeh hath hainn kanptay
Meri saansain jati
Kahi door tu qareeb na raha
Mere ghar me tha sheesha wo toot sa gaya
Me tha rooth sa gaya
Khoon thookta raha
Tujy dhoondta raha
Dard phoonkta raha
Sar ghoomta raha
Teri adhi jali tasveer choomta raha saari raat
Khudara mere rakh lo raaz
Han mujy kardo maaf
Saazain meri kaat do
Me hun na tera banda khaas
Ye tere banday martay
In sy nijat do
Sawali tere dar ka banda
Hua dar badar sa
Dard ki dawa do
Utha lo mujy sab sy uper
Sanam sy uper
Ki na saza do
Wo sanam
Kiya hi sanam hua
Jo har dar pe ja ky kiun ruk gaya
Ab tu bhi dastak na deti hai
Par me hun khada ab chup yahan
Kiun tere jaisa mujhay koi nahi milta
Yeh shikway kar kar ky me thak gaya hun jana
Ab dekho lafz mere yeh khatam hote hi nahi
Jitna bhi likh baithu tere hi uper aa ruka
Dekhun tumhay aisay lagta
Pari aasmano ki ayi zameen par
Falak me the tara kabhi
Tha hamara kabhi tha
Mila na kabhi par
Fakiro ko ghar na mila or
Humain bhi chupanay ko sar na mila
Qayamat ki kaisi ghari hai
Wo ayi khari hai
Hai saans nahi par
Subha subha hui dil pe dastak
Me soya hua saray din ka thak kar
Yunhi kahin uthi aah dil me
Aye aankho ky agat wohi sab manzar
Hawa sy haray jo thy ghazanfar
Na chali talwar na chala khanjar
Nigahon ky teer huay aar paar
Masjid sy maikhana safar bas
Yeh jaana ter bas ki baat nai
Tere liye aashiq hotay khass nahi
Tere liye aina jo mere liye pathar
Dil ki numaish
Choti baat nai
Hum mardon ko dardon ka dar nahi
Raho tum parday me hum be parda hi sahi
Mard hun me darta hi nahi
Tujh ko taras raha marta bhi nai