Kyon vyarth chinta karte ho
Kisse vyarth darte ho
Kaun tumhein maar sakta hai
Bhagwan se kaun haar sakta hai
Atma na paida hoti hai na marti hai
Teri soch hi simatti aur bikhrti hai
Jo hua vah to achha hi hua
Jo na hua usmein bhi kuch bhala hoga
Jo ho raha hai vah achha ho raha hai
Jo hoga vah bhi achha hi hoga
Tum bhoot ka pashchatap na karo
Bhavishya ki chinta na karo
Vartaman chal raha hai
Har pal nikal raha hai
Tumhara kya gaya jo tum rote ho
Tum kya laaye the jo tumne kho diya
Tumne kya paida kiya tha jo naash ho gaya
Wahi ped bana jo beej tumne bo diya
Na tum kuch lekar laaye
Na tum kuch dekar jaoge
Apne bhaagya ka likha
Tum khud hi nibhaoge
Jo liya yahin se liya
Jo diya yahin par diya
Jo liya isi bhagwan se liya
Jo diya isi ko diya
Khali haath aaye the
Khali haath chale jaoge
Beech mein jo mila
Use apna kehlaoge
Jo aaj tumhara hai
Kal aur kisi ka tha
Parson kisi aur ka hoga
Mat odho tum apne sir par
Ameeri gareebi ka choga
Tum ise apna samajh kar magn ho rahe ho
Bas yahi prasannata tumhare dukhon ka kaaran hai
Parivartan sansaar ka niyam hai
Jise tum mrityu samajhte ho
Wahi to jeevan saadharan hai
Ek kshan mein tum karodon ke swami ban jaate ho
Dusre hi kshan mein tum daridr ho jaate ho
Mera tera chhota bada apna paraya
Man se mita do
Phir sab tumhara aur tum sabke ho jaate ho
Na yeh sharir tumhara hai
Na tum sharir ke ho
Jis din jaanoge
Tumhara astitva hil jaayega
Kyonki yeh agni jal vaayu prithvi aakash se bana hai
Aur isi mein mil jaayega
Parantu atma sthir hai
Phir tum kya ho
Tum apne aap ko bhagwan ko arpit karo
Yahi sabse uttam sahaara hai
Yeh sahaara tumhare uddhaar ke liye niyukt hai
Jo is sahare ko jaanta hai
Woh bhay chinta shok se sarvada mukt hai
Jo kuch bhi tu karta hai
Use bhagwan ko arpan karta chal
Jo kuch bhi tu kamata hai
Use doosron par samarpan karta chal
Aisa karne se tu sada
Jeevan mukt ka anand anubhav karega
Jeevan bhar sir uthakar jiyega
Aur bina dare marega