Elige una pista para reproducir
Kartay hein phone uthatay ho nahi
Waday kartay nibhaty ho nahi
Kyun be rukhi btatay ho nahi
Pehlay ki tarhan ab chatay ho nahi
Han mene ky bura hoon mein
Par teray bin to adhura hoon mein
Kalam hoon mein aur tu siyahi
Sath he teray ab poora hoon mein
Ab nahi ab nahi kartay kartay mene phir say kar di ek bhool hai
Asool woh roz banata gaya hum bhi boltay rahay kabool hai
Jo kal taak meri nazar mein phool tha ab dhool hai
Yeh jumla tera aziyat naak tum say baat karna fazul hai
Hum dard mein thay hamdard hamara koi bhi naw tha sab lapata
Tu hi tu meray mein bassa hai milay tu hi khud mein jo jhankta
Jana tha tu nay aisay hi toh hath phir say mera naw thamta
Khamkha bnaya adi tu nay lakin phir bhi kher teri mangta
Reh gaye kahanian
Nah bachi asanian
Ganwa diya hai ganwa diya hai ganwa diya phir mujhay
Kesay mein bhoola doon teri sab yadein
Zehan say jati nah woh sari mulakaten
Hathon mein hath thay aur haseen woh lamhat thay
Duniya ki fikron say hum bilkul azad thay
Tamam baat kaar baat tamam nahi
Phir say peena mein chahta jaam nahi
Kisi aur ka hath tham nahi
Bawafa ka banay yeh inam nahi
Soo jhoot bolay thay takay yeh rishta raaz rahay
Hazar baar smjhaya tha takay tu bhi is say baaz rahay
Lakh koshishon kay baad bhi hum toh nakam rahay
Croron mein log thay par dil mein phir bhi ap rahay
Rishta hamara toh oron say mashwaray kyun
Phir gussa karun bolay maat karein yun
Kyun banay anjan jab sab karay tu
Yeh kesa yakeen jab shak karay tu
Woh hue jab say zeenat bazar ki
Hum nay mikdar ghata di hai pyar ke
Duniya dari mein mashghool tu itna
Yaad nah ai tujhay meri aik bar bhi
Cigarette jalaya nah kash lagaya aisay hi hogaya rakh woh
Phir bay dheyani toh banti hai nah jab yaad kaar letay apko
Tasleem kaar li hai asliyat dil koh bhi hai samjha liya
Dur say hi ab dekh saktay us lahasil mehtaab ko
Reh gaye kahanian
Nah bachi asanian
Ganwa diya hai ganwa diya hai ganwa diya phir mujhay
Kesay mein bhoola doon teri sab yadein
Zehan say jati nah woh sari mulakaten
Hathon mein hath thay aur haseen woh lamhat thay
Duniya ki fikron say hum bilkul azad thay