Elige una pista para reproducir
Agar boloon main hazaar zubaane
Farishton-sa gaaun geet
Par prem na ho dil mein mere
To sab hai khokhli preet
Prabhu tera prem hai sabse bada vardaan
Hai yeh jeevan ki pehchaan
Prabhu tera prem hai sabse bada vardaan
Hai yeh jeevan ki pehchaan
Yahi hai raah Masih teri
Yahi hai anant jeevan ki jaan
Yahi hai raah Masih teri
Yahi hai anant jeevan ki jaan
Agar boloon main hazaar zubaane
Fariston-sa gaaun geet
Par prem na ho dil mein mere
To sab hai khokhli preet
Agar boloon main hazaar zubaane
Fariston-sa gaaun geet
Par prem na ho dil mein mere
To sab hai khokhli preet
Prem dhairya hai, prem daya hai
Na jalan yahan, na abhimaan
Satya se prasann rehta
Yahi hai uski pehchaan
Prem dhairya hai, prem daya hai
Na jalan yahan, na abhimaan
Satya se prasann rehta
Yahi hai uski pehchaan
Main bhatka tha andheron ki raahon mein
Dhoonda har jagah bas chaahon mein
Main bhatka tha andheron ki raahon mein
Dhoonda har jagah bas chaahon mein
Par jab paaya tujhe maine Prabhu
Jaana saccha prem tujh mein Yeshu
Par jab paaya tujhe maine Prabhu
Jaana saccha prem tujh mein Yeshu
Agar boloon main hazaar zubaane
Fariston-sa gaaun geet
Par prem na ho dil mein mere
To sab hai khokhli preet
Agar boloon main hazaar zubaane
Fariston-sa gaaun geet
Par prem na ho dil mein mere
To sab hai khokhli preet