Chal bete chal
Kar tu nakal
Ban tu gulam
Hoga na tu kabhi khud se safal
Bas kar ji huzur
Banke majdoor
Thak haar ghar laut let ke
Tu sochega zaroor
Dega kismat ko dosh
Kho ke tu hosh
"kash yaar papa hote rich"
Bas yahi teri soch
Laga phone me alarm
Mummy ka naam
Yaad kar ke soyega
Kyuki kal se fir jana kaam pe
Bro
Sun
Khud
Ko chun
Kabhi mat
Dhoondh
Is sab me sukun
Mujhe pata hai ki na
Hai ye rasta asaan
Magar ye soche bina
Karna hai sab kuch kurbaan, yeah!
Badhta chal
Chinta bhool
Mehnat full
Rakhni hai man me chul
Nahi banta hai
Bin hustle
Is duniya me koi bhi
Successful
Nahi hote bap sab raees
Tab khud ko karna kuch
Meaningful
Par tu to netflix vala hai
Is registan me tu sirf dhool
Kare jara, kare jara
Jo bola vo kare jara
Baki sab ko karta dekh ke
Bas bhed chaal tu chale jara
Kya karna kya na karna
Na socha tune ye dubara
Ab aage kaise badhna hai
Ye tujhe na samajh aara
Kare jara, kare jara
Jo bola vo kare jara
Baki sab ko karta dekh ke
Bas bhed chaal tu chale jara
Kya karna kya na karna
Na socha tune ye dubara
Ab aage kaise badhna hai
Ye tujhe na samajh aara
Ghutne tekne ki hai parampara
Aakh-kan band, aage sambhal kar aa
Dikhate vo sab kuch hara bhara
Rakhna jo unhe tujhe dara dara
Lekar soch apni tu is track par aa
Mehke sab tujhe sun zara zara
Khud se puch abhi tak jo hai kara
Kitna hai dusro ka diya, kitna tera?
Chal ab ispe
Kar-char-cha
Aur ruk mat jabtak tera
Man bhar-ta na
Fir kyu na khud se
Tu puch-ta
Ki kya yahi hai
Sahi ras-ta, tere liye
"mujhe kya pata"
"suna to yahi tha"
Akhir kab tak ye bolne se kaam chalega
Bro teri hai lagaam
Aur tu hi hai ghoda
Chal aage badha
Aage badha
Aage badha
Aage badha
Karde rasta jaam
Hilade lagaam
Dhad-dhad
Banenge vimaan
Bharenge udaan
Fad-fad
Jo bhi jhuthe yar
Unke muh pe 4
Thappad
Dikhade sansaar
Ko ye jhande gaadh
Har ghar
Kare jara, kare jara
Jo bola vo kare jara
Baki sab ko karta dekh ke
Bas bhed chaal tu chale jara
Kya karna kya na karna
Na socha tune ye dubara
Ab aage kaise badhna hai
Ye tujhe na samajh aara
Kare jara, kare jara
Jo bola vo kare jara
Baki sab ko karta dekh ke
Bas bhed chaal tu chale jara
Kya karna kya na karna
Na socha tune ye dubara
Ab aage kaise badhna hai
Ye tujhe na samajh aara
Ghutne tekne ki hai parampara
Aakh-kan band, aage sambhal kar aa
Dikhate vo sab kuch hara bhara
Rakhna jo unhe tujhe dara dara
Lekar soch apni tu is track par aa
Mehke sab tujhe sun zara zara
Khud se puch abhi tak jo hai kara
Kitna hai dusro ka diya, kitna tera?