Elige una pista para reproducir
Kaisa yeh raasta hain
Ajeeb si dastaan hai
Mai toh chala
Uski disha
Sooraj ka saath hai
Hawaon ne thama haath hai
Fir chaand taaro ka hoga sahara
Har pal yeh sochta hun
Zindagi me hai aisa kya?
Iska jawab mehfooz kyun hai bhala?
Yeh aisa raaz hai
Kudrat ne rakha paas hai
Mai toh musafir hun
Is jagah
Dooriyan hai itni kyun
Mai paas aate aate ghum gaya
Kyun thamti nahi ghadi
Chalta rahega yeh waqt ka silsila
Shehron se door aake
Yeh jaana hai maine
Insaan hun mai
Jo kal me chhupa
Apne naseeb se
Mai waqif to nahi
Aur sochte sochte
Guzre sama
Yeh kaisi daastan hain?
Ajeeb sa raasta hai
Fir bhi chalun
Us hi disha
Phoolon ki chaadron me
Lipti hui in vaadiyon me
Khoobsurat hai
Mera yeh lamha
Dooriyan hai itni kyun
Mai paas aate aate ghum gaya
Kyun thamti nahi ghadi
Chalta rahega yeh waqt ka silsila