
Tu
Halkaa sa hai ujaala
Halkaa sa hai ujaala
Raha koi bahaana nahi
Chupaaya tujhse jaata nahi
Aaya tu kaha se ptaaaa nahi
Tu kis kis se khafa
Rahe rakhe sabse doori
Chaahe chahat rahe adhoori
Zabaan pe teri rakhi choori
Kya kare
Mann mein hai krodh par aankhein hai shok mein
Baatein dukh joke mein kya kahe
Bolna bhot kuch par bolta hai kuch nai
Bottlein hai khulti bol kabhi
Ke chalra mann mein kya
Halka karle aaa
Dil ka bojh hai jo
Dost yaha sab khade
Ek phasaa sab ladee
Bebas sa lage puch khud se ke
Tu
Halka sa hai ujaala
Halka sa hai ujaala
Hota kyun hai mujhe mehsoos
Jab rahe mere ye apne jhoojh
Kismat se jo hoti kroor
Sochu mai ye aksar kaise karu unke dard kam
Kya du salah aisi jo karde solve dikkatein
Jo deti ghaav seene mein aansu banaate insaano ko mard kam
Chaaya tha amaavas jab thi aati ye aawaaz aise
Cheekhi bhi naa chillaayi naah
Sannaata ye janaaze ka batlaata toote vaade ka
Ek kadva sach chal basi naa paayi bach
Andhere mein puche maa kaha hai tui
Laga dene salah jaise haar rahi hai ho Liverpool
Liye aansu kehti mujhse
Mat bata mujhe ke kaise chizon ko bhula saku
Ijaazat lu mai tujhse wapas kehne ki kuch
Bas chahiye tu jise sab sunaa saku
Bas do kandhe jinko gale lagaa saku
Kyunki
Buri naa hoti har raat andheri
Kuch jo laati saath bhateri
Yaad hojaati thodi aur khaas
Jab ho ehsaas ke fir kabhi hogi na baat
Har dukh naa hota bura
Dukh hai gavaah ke kabhi yahaan sukh thaa
Aur kuch log jo kar gaye bayaan ke
Tu
Halkaa sa hai ujaala
Halkaa sa hai ujaala