Elige una pista para reproducir
Badi waqt hogaya hai
Urdu bolay
Amreeka main reh ke
Sab kuch bhool gaya hai
Darr lagta hai
Ke main kon hun?
Kis tarha se (?)
Logon ko kya bataon
Apne baaray main?
Kya chal raha hai doston se?
Bataon kya hain shaadi ke iraaday?
Ab main kya samjhaon?
Main apni marzi aur khudgarzi se
Zindagi ji rahi hun
Sab ko bhaag ke chor ke
Main yahan aagayi hun
Chhup ke main
Phass gayi hun
Kya sahi hai ye
Mere liye?