Elige una pista para reproducir
Agaye tang hai abh is kashmakash-e-zindagi se
Ye the kuch akhri shabd jo mujhse keh gaye the
Ap kehte the na hu mai pyara sab bachon se
To abh kehne pe mere pakado na haath ye mera ek baar phir se
Phir se bolo na sam rakha kar ma ka khayaal
Phir se kardo na phone hua arsa hai sune awaaz
Nani dekh na jeeta mai, keh de na phir shabaash
Phir se bistar me sula ke sehla de daadi ke baal
Abb jo banaoge aap to
Khalunga mai ab al bhi shaunk se
Ek baar call to kar
Sunane ko hai qisse bohot se
Ladi hai ma bhi aaj
Karni hai shikayate aapse
Bula kashmir ek baar
Mai ladke aunga sabse yaha pe
Ladke au saare jahaan se
Bhale mai hou na sahi
Khudse zyada fikar meri
Abh koi karta hi nahi
Bas ma aur aap the
Par ab ma ke paas to ap jaisa na koi
Ay khuda
Jo sabse pyaare sabse pehle kyun hai jata wahi
Mai chahta nai
Par thodi hojati hai anban ma se
Mana leta hu
Uski bhi to basti mujhme saanse
Hai wo bhi theek
Bas hai roti jab ho aapki baatein
Sambhal leta hu
Sabko aati jab hai aapki yaadein
Apko yaad to mai bhi karta hu abh raat me jaagke
Abb bi dil me hota kuch hai aapke room me jhaank ke
Abb bhi yaad hai mujhe maheene ka wo pehla din
Jab nurse se ladke ghusa tha mai medical icu bhag ke
Saath me nanu bhaagre
Fool rahi thi dono ki saansein
Phone pe ma bhi saathme
Bharne lagi uski bhi aankhein
Dekha sheeshe se
Lagi ecg ki taarein
Sab tha wahi bas haath the thande jab maine the thaame
Mai rok na paya tujhko
Ab na mil saku dobara
Mai rok na paya khudko
Aankhon se dard girte jara
Hua sakht mai bana mard
Aur kuch hai bhi kya chara?
Akeli ma hai meri uska bas mai hi sahara
Mai duniya ko batara
Dard mera nai hai gawara
Likhke saara dard mai gaara
Dhyaan se sunle yaara
Aaya khali jayega khali
Ye duniya kya raha
Bas qisse tere aur wo wakht jo tu yaha bita raha
Jab pakde haath tumhara
Apne to na jaane dena
Baatein kehna saari
Dil me na kuch rehne dena
Wakht ka khel ajeeb
Kab kiska khatam kya kehna
Bas mushakkaton ko chodh khushdili me rehna