Dil k inn pardon k peechay
Rehti hai dunya tumhari
Iss main tum jhanko zara
Kho do tum khud ko wahan
Milogy tum khudko wahan pe
Toro ye gehri deewaren
Toro na dar k ye taalay
Kho do tum khudko wahan
Kyun saza main rakhen hum khudko
Kyun khud se nawaqif rahen
Kyun qatil banen iss awaz k
Khamoshi se uljha karen
Tu khud se ye puch tau sahi
Tu apni awaaz tau sun
Kehne ko lafz tau bohot hain
Aye gi sadaa kuch yun
Kehne do dunya jo kehti hai
Sehlo ye baatain bhi tanay bhi
You just gotta do you
Khatam yahan apni bhi bedili
Ye dunya ajeeb hai bohot
Hum mar mar k yahan pe chalte rahay hain
Hum khud ko iss dunya ki nazron se
Dunya ki nazron main dikhte rahay hain
Zamanay se taaluq tau theek hai
Lekin iss taaluq se jaltay rahe hain
Hum khud ko iss dunya ki nazron se
Dunya ki nazron main dikhte rahay hain
Zamanay se taaluq tau theek hai lekin iss taaluq se
Hum khud ko iss dunya ki nazron se dunya ki nazron main
Kyun sab uljha rahay
Kyun sabar ki kami
Kyun ye waqt rukay
Kyun tum rukte nahi
Kyun yahan thehre ho tum
Kyun guzarte nahi
Kyun ye aansu ruken
Kyun ijazat nahi
Hum khudse nibhaate rahe hain
Hum khudko samjhate rahe hain
Hum khudse wafa na karen
Hum thehre phir bhookay wafa k
Hum khudse khafa h rahay hain
Dilasay dilatay rahe hain
Umeeden jatate rahe hain
Hum khudko h khatay rahe hain
Hum hotay huye bhi iss ghar main
Kyun phir khudko chupaya karen
Hum dil pe tau likhte rahe hain
Kyun na khud se ab zahir karen
Hum kabse safar main rahe hain
Kyun na manzil tak himmat karen
Hum kyun na batayen ye khudko
Hum kaafi hain khud k liye
Kyun sab uljha rahay
Kyun sabar ki kami
Kyun ye waqt rukay
Kyun tum rukte nahi
Kyun yahan thehre ho tum
Kyun guzarte nahi
Kyun ye aansu ruken
Kyun ijazat nahi