Elige una pista para reproducir
Thehri hui raaton mein
Chalte chalte hum aa gaye
Hain door tak
In raahon mein
Chhaante khwaabon se
Chun lein pal apne kaam ke
Rakh lein sambhal ke
Tera saaya hai jahaan
Hai wahin ghar mera
Tujh se hi hai mera sahara
Yaara
Itni si
Teri Meri
Hai Duniya
Baaton mein meri lafz tu ho
Chaal dhaal ki tarz tu ho
Haan jab kabhi thakaan ho
Tu ho angdaaiyaan
Raat ya subaah saath tu ho
Dhoop ho toh barsaat tu ho
Adhoore se armaan hon
Tu hi manmaaniyaan
Hoke bhi tu khafa
Tu hona na juda
Yeh nahin hai mujhe gavaara
Yaara
Itni si
Teri Meri
Hai Duniya
Yaara
Itni si
Teri Meri
Hai Duniya
(Ooo ooo)