Elige una pista para reproducir
Yun bheege hue raahon pe
Yun gham-e-barsaaton mein
Yun koi mujhe na jaane kahaani kya suna gaya
Main le kar aaya tha sukoon par
Yeh kaisa saraab hai ke
Yun koi roshni har zakham par dawai sa laga gaya
...
Dekha noor hai par aaj woh naya sa lage
Pehli basar hai toh kyun raabta purana lage
In sawaalon mein din dhal gaya
Aur khwaabon mein doobi yeh raat
Kya ho raha mujhe
Mai hawaaon par chalne laga hoon
Aur dil bhi kahaaniyon mein pighal raha
Kaisa yeh manzar yahan
Bheege hue raahon pe
Gham-e-barsaaton mein
Tu gardishon se bhi mujhe
Rihaayi sa dila gaya