Elige una pista para reproducir
Ye ghazal humaare Pakistan ke shaayar Munir Niazi hain
Unki taaza ghazal hai, to dhun bhi taaza hi hai
Bechain bahut phirna, ghabraaye huye rehna

Ik aag si jazbon ki dehkaaye huye rehna

Bechain bahut...
Bechain bahut phirna, ghabraaye huye rehna
Chhalkaaye huye chalna khushbu lab-e-laaleen ki

Ik baagh sa saath apne mehkaaye huye rehna
Ik aag si jazbon ki dehkaaye huye rehna
Bechain bahut phirna, ghabraaye huye rehna
Is husn ka shewa hai jab ishq nazar aaye, haan, haan
Is husn ka shewa hai jab ishq nazar aaye
Parde mein chale jaana, sharmaaye huye rehna

Ik shaam si kar rakhna kaajal ke karishme se
Ik shaam, ik shaam, ik shaam...
Ik shaam si kar rakhna kaajal ke karishme se
Ik chaand sa aankhon mein chamkaaye huye rehna
Ik aag si jazbon ki dehkaaye huye rehna
Bechain...
Bechain bahut phirna, ghabraaye huye rehna
Maqta
Aadat hi bana li hai tumne to Munir apni
Aadat hi, hi, hi...
Aadat hi bana li hai tumne to Munir apni
Jis shehar mein bhi rehna, uktaaye huye rehna

Meherbaani