Выберите трек для воспроизведения
Waqt bhi toh urr gaya
Saath le kar na gaya
Dil ki raah pe chala tha
Jaanay kab mein mur gaya
Aagay Milay gham
Kahaan jaaye na jaanay hum
Ab reh gaye hai tere bin
Toh yaad aatay puranay din
Kya din thay woh
Kya din thay woh
Jab inn aankhon ko nazar aata tha rang
Zindagi se na thay itnay tang
Kya din thay woh
Kya din thay woh
Dunya ki yeh roshni
Yahan tak kyun na pohanch saki
Thehelta raha andheray mein
Nikal na saka iss ghum se
Ghor se dekhoon jab
Muskurahat nazar aati kam
Ab reh gaye akelay hum
Toh hanstay soch mein huye ghum
Kya din thay woh
Kya din thay woh
Jab gir ke bhi na maanta tha haar
Bina ghabraye karta tha pyaar
Kya din thay woh
Kya din thay woh
Din thay woh, kya haseen
Aatay yaad hain har ghari
Din thay woh kya haseen
Beethay waqt mein kho gaye kahin
Din thay woh, phir kabhi
Aayeingay ya nahi