Выберите трек для воспроизведения
Punya ayodhya tirth hai... sab tirthon ka saar
Bhavbhav ke bandhan kate vandan kar ek baar, sab tirthon ka saar
Bhavya ayodhya ki raksha mein, brahma buddhi lagaate saare
Iss nagri ki seva mein rehte, haath trishul liye tripurari
Praanon se priye jaane ayodhya
Praanon se priye jaane ayodhya, vishnu chakra sudarshan dhaari
Praanon se priye jaane ayodhya, vishnu chakra sudarshan dhaari
Aisi ayodhya ko kya koi jeete tridev karein jiski rakhwaali
Aisi ayodhya ko kya koi jeete tridev karein jiski rakhwaali
Bhaagyavati hai ayodhya ki bhoomi, jahan janme khele chaaron bhaiya
Dhanya pita dashrath aur dhanya hai chaaron kumaaron ki teeno maiyan
Seeta maa ko naman karun
Seeta maa ko naman karun jag pe jinke aanchal ki chaiyaan
Seeta maa ko naman karun jag pe jinke anchal ki chaiyaan
Avadh ki mahima gaavat khil gaye chatdal kamal se mor savaiya
Avadh ki mahima gaavat khil gaye chatdal kamal se mor savaiya
Jaya hiranya chinmaya satyaa lalit lallaam
Apaarajita aur raajita asht ayodhya naam... asht ayodhya naam
Janmbhoomi hanumangarhi saryu nageshwarnath supaawan
Brahmkund pardhaar sahastra toh lakshman ghat pe shobhit lakshman
Choti devkali badi jaakrit
Choti devkali badi jaakrit, kanak bhawan ka mangal darshan
Choti devkali badi jaakrit kanak bhawan ka mangal darshan
Aath inn sthaan pe naman kiye bin poorn naa hoye ayodhya vandan
Aath inn sthaan pe naman kiye bin poorn naa hoye ayodhya vandan
Teeno lok aur chaaron dham mein avadh puri sa na dhaam na dooja
Sab kaamon ko saadhne wala raam ke naam sa naam na dooja
Raam ke jeevan se ye jaana
Raam ke jeevan se ye jaana, jeevan sa sangraam naa dooja
Raam ke jeevan se ye jaana, jeevan sa sangraam naa dooja
Ram ki seva, ram ki pooja chod humein ab kaam naa dooja
Ram ki seva, ram ki pooja chod humein ab kaam naa dooja