Mm, zindagi ki raah mein takra gaya koi
Haan, zindagi ki raah mein
Ek roshni andheron mein bikhra gaya koi
Haan, zindagi ki raah mein
Wo haadsa, wo pehli mulaaqat, kya kahoon?
Kitni ajab thi surat-e-halaat, kya kahoon?
Wo kehar, wo ghazab, wo jafa mujhko yaad hai
Wo uski berukhi ki ada mujhko yaad hai
Mit'ta nahin hai, zehan pe yun chha gaya koi
Mm, zindagi ki raah mein takra gaya koi
Mm, zindagi ki raah mein
Pehle mujhe wo dekh ke barham si ho gayi
Phir apne hi haseen khayaalon mein kho gayi
Bechaargi pe meri usse reham aa gaya
Shaayad mere tadapne ka andaaz bhaa gaya
Saanson se bhi kareeb mere aa gaya koi
Haan, zindagi ki raah mein
Yun usne pyaar se meri baahon ko chhu liya
Manzil ne jaise shaakh ki raahon ko chhu liya
Ik pal mein dil pe kaisi qayaamat guzar gayi
Rag-rag mein uske husn ki khushboo bikhar gayi
Zulfon ko mere shaane pe lehra gaya koi
Mm, zindagi ki raah mein takra gaya koi
Mm, zindagi ki raah mein
Ab is dil-e-tabah ki haalat na poochiye
Be-naam aarzuon ki lazzat na poochiye
Ik ajnabi tha, rooh ka armaan ban gaya
Ik haadsa tha, pyaar ka unwaan ban gaya
Manzil ka raasta mujhe dikhla gaya koi
Mm, zindagi ki raah mein takra gaya koi
Mm, zindagi ki raah mein