Оберіть трек для відтворення
Teri-meri mili raahein anjaane mein
Taqdeer yeh kyun likhi khud Rabb jaane
Jo mila hai, lagta hai
Dhadkan mein hai ghula
Ab shayad saanson mein
Shuru hone ko hai chala yeh silsila
Taaron tale baaton ka
Ujli huyi raaton ka
Hone ko hai chala yeh silsila
Taazi buni yaadon ka
Do khwabon ka silsila
Dhaagon sa uljha yeh fasana
Aahista suljhana tum filhaal
Silne ko hai ek taana-baana
Hone do iss dil ko istemaal
Nazron ke sheeshon mein
Chehra jo hai khila
Ab shayad roohon mein
Shuru hone ko hai chala yeh silsila
Taaron tale baaton ka
Ujli huyi raaton ka
Hone ko hai chala yeh silsila
Ambar ke jaisa beqaraar, beruka silsila
Teri-meri mili raahein anjaane mein
Taqdeer yeh kyun likhi khud Rabb jaane
Jo mila hai, lagta hai
Dhadkan mein hai ghula
Ab shayad saanson mein
Shuru hone ko hai chala yeh silsila