Оберіть трек для відтворення
Baarish ke boondon ki
Tip tip ne kya kaha
Mitti ki sondhi si
Khushboo ne kya kaha
Tu jo ruka toh dhun naya koi suna
Tu jo thamaa, jahan mehek gaya
Waqt ka jo, yeh hai silsila
Na woh ruka, na woh thamaa
Bas tu jo ruka
Kaagaz ki kashti ne
Tair ke kya kaha
Palkon ko pochati
Gileheri ne kya kaha
Tu jo ruka, toh ek safar naya chala
Tu jo thamaa, humsafar sung mila
Waqt ka jo, yeh hai silsila
Na woh ruka, na woh thamaa
Bas tu jo ruka
Badalon ki gili chadar ko
Suraj ne odha
Boondon ki kosi thand ko
Tu bhi chakh le
Rim jhim girrte taal pe
Har ek pal jhoomaa
Aise se hi ek pal ko thaam ke
Kyon na sang ho le
Phulon ki nahati hui
Pankhudi ne kaha
Patton ki aadh se
Koyal ne kya kaha
Tu jo ruka fiza mein rung bharr gaya
Tu jo thamaa, surr taal ka hua
Waqt ka jo, yeh hai silsila
Na woh ruka, na woh thamaa
Bas tu jo ruka
Waqt ka jo, yeh hai silsila
Na woh ruka, na woh thamaa
Bas tu jo ruka