Оберіть трек для відтворення
Kiske bharose baitha saali kismat jhol hai?
Life ki is movie mein kya tera role hai?
Katputli banke tu kyun naachta fire?
Kyun tu samay gavaaye har pal anmol hai?
O mere yaar
Tham ja zara
Yun na haar
Jee le zara (Jee le zara)
Sabki hi to, ye hi kahaani hai
Aaj raakh kal dhuaan, ye hi to zindagani hai
Thoda to muskura, abhi to jawaani hai
Kar haunsla
Din raat bhaage kyun paise ki race mein?
Bachpan ke armaan bhi kho diye is khel mein (khel khel mein)
Is se pehle mile yamraj ko teri supaari
Khaali (Khaali Khaali) kar le sapno ki gullak ko
O mere yaar
Tham ja zara
Yun na haar
Jee le zara (Jee le zara)
Sabki hi to ye hi kahaani hai
Aaj raakh kal dhuaan, ye hi to zindagani hai
Thoda to muskura, abhi to jawaani hai
Kar haunsla