Оберіть трек для відтворення

Saanson ko jeene ka ishara mil gaya
Dooba main tujhmein toh kinara mil gaya
Saanson ko jeene ka ishara mil gaya
Zindagi ka pata dobara mil gaya
Tu mila toh Khuda ka sahara mil gaya
Tu mila toh Khuda ka sahara mil gaya
Ghamzada, ghamzada, dil ye tha ghamzada
Bin tere, bin tere dil ye tha ghamzada
Aaraam de tu mujhe, barson ka hoon main thaka
Palkon mein raatein liye tere vaaste main jaga (main jaga)
Aaraam de tu mujhe, barson ka hoon main thaka
Palkon mein raatein liye tere vaaste main jaga
Mere har dard ki gehraai ko mehsoos karta hai tu
Teri aankhon se gham, tera mujhe maaloom hone laga
Tu mila toh Khuda ka sahara mil gaya
Tu mila toh Khuda ka sahara mil gaya
Main raaz tujhse kahoon, humraaz ban ja zara
Karni hai kuch guftagoo, alfaaz ban ja zara
Main raaz tujhse kahoon, humraaz ban ja zara
Karni hai kuch guftagoo, alfaaz ban ja zara
Juda jab se hua, tere bina khamosh rehta hoon main
Labon ke paas aa, ab tu meri aawaaz ban ja zara
Tu mila toh Khuda ka sahara mil gaya
Tu mila toh Khuda ka sahara mil gaya
Ghamzada, ghamzada, dil ye tha ghamzada
Bin tere, bin tere dil ye tha ghamzada