Оберіть трек для відтворення
Na badh sake jo tum toh hum bhi thehre aashiqui mein
Main aakhiri woh patta reh gaya jo shaakh hi mein
Haan, teri aas hi mein dekhti thi raah bhi main
Kaarvaan yeh gham-farosh, dard hi tha wapsi mein
Qalam se dard kar bayaan tujhe bulaayenge
Haath thaame tera haal phir bataayenge
Faqat kiya toh aisa ho, tere ho jaayein hum
Jo tere na hue, Khuda ke ghar ko jaayenge
Jo dekh paate dil mein, hote kya ilzaam koi?
Thak chuki hain aankhein, jaise sukha dariya koi
Poochhta hai mujhse poora maashara yeh ab
Pooch le jo baaqi reh gaya sawaal koi
Par jawaab, bolo, doon main tujhko tujhse pehle
Kar do aasmaan hawaale jism mera ab yeh
Hoon bejaan, meri jaan, ghar yeh bin tere mashaan
Sun yeh dard ki awaaz, mujhko thaam bhi le
Chaal kya chalun, jismein tujhko haar doongi
Tere pyaar ki kasam, main sab yeh vaar doongi
Tujhe pasand jo na ho raabta mera kisi se
Main teri hoke poori zindagi guzaar loongi
Kya khwaab mein hi, jaan, hum tere ho sakte hain?
Aisa ho toh saari umar hum bhi so sakte hain
De bata tu mujhko ek hi wajah
Main us wajah se zindagi yeh apni poori tanha hi guzaar loongi
Meri mohabbaton ki intehaa kya yaad nahin hai?
Kiya kya kuch na tere khaatir, par woh baat nahin hai
Tu chahe bewafa le maan, mera Rab, mera imaan
Tujhse pyaar kitna, bas yehi hisaab nahin hai
Kitni raatein nam thi aankhein, tune tab nahin tha dekha
Tujhse mili jab bhi aake, muskura ke tujhko dekha
Hansne ka zikar toh, khair, chhodein ab
Ek arse se in aankhon ne tujhe nahin jo dekha
Aankhon ne sada tujhko di hai
Kahan hai tu? Yahaan kyun nahin hai?
Dil ko hai jaan'na ab toh yehi
Bas tum chale aao
Tu hai kahan?
Khwaabon ke is shehar mein mera dil tujhe dhoondhta, dhoondhta
Arsa hua
Tujhko dekha nahin, tu na jaane kahan chhup gaya, chhup gaya