Оберіть трек для відтворення
Teri in adaon ne humko pagal kar diya
Teri in adaon ne humko pagal kar diya
Naya-naya lage hai jahaan, jaadu yeh kya kar diya?
Teri in adaon ne...
Apne hi dil se yeh shart thi
Ke denge usey na kisi ko
Awaara mujrim, bedard zaalim
Chaahne laga par tumhin ko
Qaatil ada hai woh tumhari
Dil pe lagi woh chot bhaari
Ke apne haathon se dil naam tumhare kar diya
Naya-naya lage hai jahaan, jaadu yeh kya kar diya?
Teri in adaon ne humko pagal kar diya
Teri in adaon ne humko pagal kar diya
Naya-naya lage hai jahaan, jaadu yeh kya kar diya?
Toofaan mein thi yeh dil ki kashti
Sahil ka kuch na pata tha
Sagar se gehra yeh roop tera
Sagar mein sahil chhupa tha
Do baahon ke dilkash kinaare
Humko diye hain woh sahaare
Yeh tera ehsaan hai, ada ho kaise shukriya?
Naya-naya lage hai jahaan, jaadu yeh kya kar diya?
Teri in adaon ne
Humko pagal kar diya (humko pagal kar diya)
Mm, teri in adaon ne (teri in adaon ne)
Humko pagal kar diya (humko pagal kar diya)
Naya-naya lage hai jahaan, jaadu yeh kya kar diya?