Pyaasi hai rooh meri, dariya hai tu
Boondon se pyaar jata
Behti hai saansein meri, zariya hai tu
Tu he hai Rab ka pata
Parda haya ka hata de
Baanhon mein apni panaah de
Ab tujhse he hai raabta
Tu he raaz-e-iltiza hai
Tujhse he guftugu meri
Mere har nazaare mein chhipi hai tu
Tera husn hoor sa hai
Maykashi teri har ek nazar
Ye kashish teri kabhi thame na kyun?
Ab saare khwaabon ko tujh sang sajaana hai
Jo tera saath ho, har pal suhaana hai
Tu mera sajda hai, tu he Khuda
Behkta parinda main, toh falak hai tu
Kashish se paas bula
Phirta hoon banjaara, asmat hai tu
Tu he to ghar hai mera
Dil ki tapish ko bujha de
Duuri se ab na saza de
Ab tujhse he hai aashiyaan