Оберіть трек для відтворення
Pyaar mera kyun pinhaan khada?
Aansoo ki zabt mein sar-e-aam lada
Aalam pyaar tere ka, waaqif sheher tere ka
Jisne mujhko mujhse kiya fana
Meherbaani, yaar, teri
Ab saath chahiye na
Main dhokhe layi, tu horaan layi
Ab saath chahiye na
Tune hai rulaya, tadpaya mujhko
Sachcha tha ishq mera, kyun raas na aaya tujhko?
Tune hai rulaya, tadpaya mujhko
Sachcha tha ishq mera, kyun raas na aaya tujhko?
Matam hai chhaya, kyun itna rulaya?
Zid ne kyun teri mujhko kiya fana?
Meherbaani, yaar, teri
Ab saath chahiye na
Main dhokhe layi, tu horaan layi
Ab saath chahiye na
Allah jaane, kisi aur ko chahne lage ho
Door jaane ke bahane ab banane lage ho
Mujhko chhod ke tanha, haan, tune zulm kamaya
Zid ne kyun teri mujhko kiya fana?
Meherbaani, oh, yaar, teri
Ab saath chahiye na
Main dhokhe layi, tu horaan layi
Ab saath chahiye na